Yeh hawa ka rukh, yeh thehra sama
Bheed mein gumsum, main kahi tanha
Aaj yeh din kuch alag sa hai
Meelon ke faasle, dilon ki yeh dhadkan
Pyar mein tere mera yeh ladakpan
Aaj yeh rishta kuch alag sa hai
Patjhad ke thapedo ko sehn na jab kar paye
Karte hai aaj woh intezaar saawan ka nazre bichaye
Aaj yeh mausam kuch alag sa hai
Kayamat ki chah mein har pal ansoo bahana
Tera woh chal padna aur mera thehar jaana
Aaj yeh manzar kuch alag sa hai
Saturday, October 13, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment